Wednesday, March 16, 2011

Ghum ko chupanay ka

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya


Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya


Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya


Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya


Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya


Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya


Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya


Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya


Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya


Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya